tata ki sabse sasti electric car

Tata Tiago Ev Tata Ki sabse sasti electric car.

Tata motors Indian market me apne dumdar four wheelers ke liye jani jati hai. Tata motors ki bahut sari cars ko Indian market me bahut jyada pasand kiya jata hai. Jiase ki- Tata Nexon, Tata Safari aur Tata Harrier. Tata ki cars dumdar hone ke sath-sath safe bhi hoti hai. Humlog is post me Tata Ki sabse sasti electric car ke bare me janne wale hai. To agr aap ek Tata electric car kharidna chahte hai to yaha par apko Tata ki sabse sasti eletric car ke bare me pata chal jayega.

Worlds fastest electric car

Tata ki sabse sasti electric car

You already know about Tata’s most affordable electric car is Tata Tiago ev. Iski kimat 8.69 lakh rupaye se shuru ho jati hai ex-showroom. Is affordable electric car me bahut sare features ke sath-sath ek achha powertrain bhi milta aur sath me acchi battery range bhi. Ye Tata Tiago hatchback ka electric version hai. Ise Tata motors ne 2022 me launch kiya tha.

Tata Tiago EV

Tata Tiago Ev, tata ki sabse sasti electric car to hai hi, lekin ye Bharat ki dusari sabse sasti electric car hai pahle number hai “MG Comet EV”. Sabse pahle humlog Tata tiago ev ke specification ko dekh lete hai.

Tata Tiago EV Specs

SpecificationDescription
Battery capacity24kWh
Motor power60kW
Torque114Nm
0-60 km/h10 seconds
Top speed130 km/h
ARAI-certified range315 km
Real-world range250-275 km
Charging time8 hours
Dimensions (L x W x H)3763 mm x 1652 mm x 1550 mm
Wheelbase2440 mm
Ground clearance168 mm
Boot space242 liters
Kerb weight1235 kg
Gross weight1565 kg

Tata Tiago EV Vs Maruti Suzuki WagonR

Engine & PerFormance

Is affordable electric car me 60kW electric motor laga hai aur sath me 24kWh lithium-ion battery laga hai. Ye electric motor, 74bhp power and 114Nm of torque produce karti hai. Ye electric car 10 sec me 60km/h ki speed ko achieve kar sakti hai. Whi iski top speed 130 km/h hai. Iski Real world drive range 250km-275km tak hai lekin iska ARAI certified range 315km hai.

Design

Is ev version ka design bhi Tata Tiago hatchback petrol version ke jaisa hi hai kuch difference ke sath. Tata Tiago EV me electric blue front fender aur electric blue tail lamp. Iske alawa isme 14-inch ke steel alloy wheel dekhne ko mil jayega.

Ab is affordable electric car ke kuch features ke bare me jan lete hai.

Features

  • 7-inch touchscreen infotainment system
  • Automatic climate control
  • Keyless entry and start
  • Multi-function steering wheel
  • Reverse parking camera
  • 6 Airbags

And many more.

Tata ki sabse sasti electric car kyu kharide?

Tata most affordable electric car kharidne ke kai reasons hai.

  • Price- You already know Tata Tiago ev is India’s one of the most affordable electric car. Iski ex-showroom price 8.69 lakh rupaye se shuru ho jati hai. Indian market ke liye ye bahut achhi or attractive price range hai, jiske wjh se ye bahut sare bhartiyo ke liye kifayti option ban jati hai.
  • Range- Is electric car ki drive range 315km* hai jo real world me 250-275km hogi. Ye car city commuting ke liye achhi optin hai.
  • Features- Is hatchback electric car me bahut sare modern features dekhne ko mil jayega jaise ki 7-inch touchscreen infotainment system, automatic climate control, keyless entry & start. These features make this ev very attractive for most of the buyers.

Yaha niche kuch aur reasons bhi diye hai jo apko is electric car ko kharidne ke liye convience kar sakti hai.

  • If you mostly do city commuting then Tata Tiago ev offers enough drive range. Agr aap city me jyada drive karte hai to apko har roz 100km se jyada chalane ki zarurat nhi paregi. Ise agr aap full charge karte hai to ye aram se 200km chal jayegi.
  • Ek aur reason hai jo ise kharidne ke liye convience kar sakta hai. If you are looking for a modern and comfortable elctric car then Tiago ev is the option for you. Yaha par apko bahut sare modern features and tech dekhne ko mil jayega.

Sabse sasti electric car kitne ki hai?

sabse sati electric car MG Comet EV hai, jsiki kimat 7.98 lakh rupaye se shuru ho jati hai. Ye sabse choti electric car bhi hai.

Tata EV battery ki kimat kitni hai?

In general Tata EV battery kafi costly hai, jo electric car kharidne walo ke liye sahi nhi hai. Halanki Tata Motrs apne battery par 8 sal ya 1.6 lakh km ki warranty deti hai, agr isse pahle battery kharab hoti hai to company ise muft me thik karegi ya badal kar degi*.

Tata electric car kaun si hai?

Tata ke portfolio me bahut sare electric car hai jaise ki Tata Nexon EV, Tata Taigo EV & Tata Tigor Ev, Nexon Ev etc…

Tata electric gadi kitne kilometer chalti hai?

Tata ki electric cars ka drive range alag-alg hai. Tata ki sabse sasti electric car, Tata Tiago EV ki ARAI range 315 km hai. Halanki asal me ye range 250 se 275 km ke beech hoti hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Shopping Cart